Aaj Karte Nahi Ik Pal Bhi Gawara Hum Ko – Urdu Sad Poetry
aaj karte nahi ik pal bhi gawara hum ko
woh jo rakhtay they kabhi jaan se pyara hum ko
dhoond hi lije zara phir se khudara hum ko
aap hotay hain to hota hai sahara hum ko
har ghalat kaam pay is dil ney ubhara hum ko
is pay deta hai yeh ilzaam bhi sara hum ko
jab se dil hi ko tamanna hai nah ankhoo ko talabb
roz milta hai naya aik nzarah hum ko
dil yahi chahay ke un sab ki bulayen le lon
aaj bhi log jo kehte hain tumhara hum ko
ahtyatan tra hum naam bta dete hain
is se pehlay ke kere koi ishara hum ko
aik kashti ke musafir thay magar tufaan ne
tum ko uss paar to iss paar utaara hum ko
tujh se sharminda hain ae zeist, tri himmat hai
to ne taa Umar katehray mein guzaraa hum ko
sab se pehlay wohi karte hain kinara abrak
doobtey waqt jo kehte hain kinara hum kaaf