Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
اپنی مرضی سے کہاں اپنے سفر کے ہم ہیں
رُخ ہواؤں کا جدھر کا ہے ، اُدھر کے ہم ہیں
Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hain
پہلے ہر چیز تھی اپنی مگر اب لگتا ہے
اپنے ہی گھر میں کسی دوسرے گھر کے ہم ہیں
Waqt ke sath hai mitti ka safar sadiyon se
Kis ko malum kahan ke hain kidhar ke hum hain
وقت کے ساتھ ہے مٹی کا سفر صدیوں سے
کس کو معلوم کہاں کے ہیں، کدھر کے ہم ہیں
Chalte rahte hain ki chalna hai musafir ka nasib
Sochte rahte hain kis rahguzar ke hum hain
چلتے رہتے ہیں کہ چلنا ہے مسافر کا نصیب
سوچتے رہتے ہیں کس راہ گزر کے ہم ہیں
Hum wahan hain jahan kuch bhi nahi rasta na dayar
Apne hi khoye hue sham o sehar ke hum hain
Gintiyon mein hi gine jate hain har daur mein hum
Har qalamkar ki be-naam khabar ke hum hain
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO