Ataa Jise Tera Aks-E-Jamaal Hota Hai
Sagar Siddiqui Poetry
Ataa Jise Tera Aks-E-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Sare Gulistaan Ka Laal Hota Hai
عطا جسے تیرا عکس جمال ہوتا ہے
وہ پھول سارے گلستاں کا لال ہوتا ہے
Talash Karti Hai Saye Tumhare Aanchal Ke
Chaman Mein Bad-E-Saba Ka Ye Haal Hota Hai
رہ مجاز میں ہیں منزلیں حقیقت کی
مگر یہ اہل نظر کا خیال ہوتا ہے
Ye Wardat Bhi Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musraton Mein Bhi Hum Ko Malaal Hota Hai
یہ واردات بھی اب دل پہ روز ہوتی ہے
مسرتوں میں بھی ہم کو ملال ہوتا ہے
Bahaar-E-Fitrat Sayaad Ki Kahani Hai
Ke Is K Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
بہار فطرت صیاد کی کہانی ہے
کہ اس کے دوش پہ پھولوں کا جال ہوتا ہے
Ye Bikhre Bikhre Se Gesoo Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaise Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai
یہ بکھرےبکھرے سے گیسو تھکی تھکی آنکھیں
کہ جیسے کوئی گلستاں نڈھال ہوتا ہے
Jawab De Na Sakain Jais Ka Do Jahaan Saghar
Kaisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai
جواب دے نہ سکیں جس کا دو جہاں ساغر
کسی غریب کے دل کا سوال ہوتا ہے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO