Chalo Diyaar-e-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par
Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib Durood lab par saja saja kar
Baharain lutainge hum karam ki Dilon ko daman bana bana kar
چلو دیارِ نبی کی جانب ،درود لب پر سجا سجا کر
Na unke jaisa sakhi hai koi Na unke jaisa ghani hai koi
Wo be-nawa-o ko har jaga se Nawaazte hain bula bula kar
نہ ان کے جیسا سخی ہے کوئی، نہ ان کے جیسا غنی ہے کوئی
Main wo nikamma hoon jiski jholi Main koi husn-e-amal nahi hai
Magar wo ehsaan kar rahe hain Khata-ain meri chupa chupa kar
میں وہ نکما ہوں جس کی جھولی، میں کوئی حسنِ عمل نہیں ہے
Hai unku ummat se pyar kitna Karam hai rahmat shi’aar kitna
Hamaare jurmon ko dho rahe hain Wo apne aansu baha baha kar
ہے ان کو امت سے پیار کتنا !کرم ہے رحمت شعار کتنا
Yahi asaas-e-amal hai meri Issi se bigdi bani hai meri
Samett-ta hoonn karam khuda ka Nabi ki naatain suna suna kar
یہی اساس عمل ہے میری، اسی سے بگڑی بنی ہے میری
Agar muqaddar ne yaawri ki Agar madine gaya main Khalid
Qadam qadam khaak us gali ki Mein chum lunga utha utha kar
اگر مقدر نے یاوری کی، اگر مدینے میں گیا خاؔلد
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO