Dayaar-e-Dil Ki Raat Mein Chiragh Sa Jala Gaya
Urdu Shayari By Nasir Kazmi
Dayaar-e-dil ki raat mein chiragh sa jala gaya
Mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
Mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
دیار دل کی رات میں چراغ سا جلا گیا
ملا نہیں تو کیا ہوا وہ شکل تو دکھا گیا
Wo dosti to kair ab nasib-e-dushmanan huyi
Wo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
Wo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
وہ دوستی تو خیر اب نصیب دشمناں ہوئی
وہ چھوٹی چھوٹی رنجشوں کا لطف بھی چلا گیا
Judaayiyon ke zakm dard-e-zindagi ne bhar diye
Tujhe bhi nind aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya
Tujhe bhi nind aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya
جدائیوں کے زخم درد زندگی نے بھر دیے
تجھے بھی نیند آ گئی مجھے بھی صبر آ گیا
Pukaarati hain fursatein kahan gayin wo sohabatein
Zamin nigal gayi unhein ya asaman kha gaya
Zamin nigal gayi unhein ya asaman kha gaya
پکارتی ہیں فرصتیں کہاں گئیں وہ صحبتیں
زمیں نگل گئی انہیں کہ آسمان کھا گیا
Ye subaho ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan
Ab aayine mein dekhata huun main kahaan chala gaya
Ab aayine mein dekhata huun main kahaan chala gaya
یہ صبح کی سفیدیاں یہ دوپہر کی زردیاں
اب آئنے میں دیکھتا ہوں میں کہاں چلا گیا
Ye kis kushi ki ret par gamon ko nind aa gayi
Wo lahar kis taraf gayi ye main kahaan chala gaya
Wo lahar kis taraf gayi ye main kahaan chala gaya
یہ کس خوشی کی ریت پر غموں کو نیند آ گئی
وہ لہر کس طرف گئی یہ میں کہاں سما گیا
Gaye dinon ki laash par pade rahoge kab talak
Alamkasho utho ki aafataab sar pe aa gaya
Alamkasho utho ki aafataab sar pe aa gaya
گئے دنوں کی لاش پر پڑے رہو گے کب تلک
الم کشو اٹھو کہ آفتاب سر پہ آ گیا