Dil Ne Imdad Kabhi Hasb-E-Zarurat Nahi Di
Farhat Ehsas Poetry
dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahi di
shehar mein aqal na di dasht mein wahshat nahi di
دل نے امداد کبھی حسب ضرورت نہیں دی
شہر میں عقل نہ دی دشت میں وحشت نہیں دی
ishq tu aaj bhi hai kis ke lahu se sarsabz
kis muhim ke liye hum ne tujhe ujrat nahi di
عشق تو آج بھی ہے کس کے لہو سے سرسبز
کس مہم کے لیے ہم نے تجھے اجرت نہیں دی
dhup boli ki main aabai watan hun tera
main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahi di
دھوپ بولی کہ میں آبائی وطن ہوں تیرا
میں نے پھر سایۂ دیوار کو زحمت نہیں دی
ishq mein ek bara zulm hai sabit-qadami
waqt ne bhi hamein is bab mein qudrat nahi di
عشق میں ایک بڑا ظلم ہے ثابت قدمی
وقت نے بھی ہمیں اس باب میں قدرت نہیں دی
sar salamat liye laut aaye gali se us ki
yar ne hum ko koi Dhang ki KHidmat nahi di
سر سلامت لیے لوٹ آئے گلی سے اس کی
یار نے ہم کو کوئی ڈھنگ کی خدمت نہیں دی
kaun si aisi Khushi hai jo mili ho ek bar
aur ta-umar hamein jis ne aziyyat nahi di
کون سی ایسی خوشی ہے جو ملی ہو اک بار
اور تا عمر ہمیں جس نے اذیت نہیں دی
ahl-e-dil ne kabhi makhlut hukumat na banai
aqal walon ne bhi be-shart himayat nahi di
اہل دل نے کبھی مخلوط حکومت نہ بنائی
عقل والوں نے بھی بے شرط حمایت نہیں دی
farhat ehsas to hum Khud hi bane hain warna
farhat-ullah ne kabhi is ki ijazat nahi di
اہل دل نے کبھی مخلوط حکومت نہ بنائی
عقل والوں نے بھی بے شرط حمایت نہیں دی
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO