Dil Pe Jab Dard Ki Uftad Padi Hoti Hai
Ahmad Rahi Poetry
dil pe jab dard ki uftad padi hoti hai
dosto wo tou qayamat ki ghadi hoti hai
دل پہ جب درد کی افتاد پڑی ہوتی ہے
دوستو! وہ تو قیامت کی گھڑی ہوتی ہے
jis taraf jaein jahan jaen bhari duniya mein
rasta roke teri yaad khadi hoti hai
rasta roke teri yaad khadi hoti hai
جس طرف جائیں ، جہاں جائیں بھری دنیا میں
راستہ روکے تری یاد کھڑی ہوتی ہے
jis ne mar mar ke guzari ho ye us se pucho
hijr ki raat bhala kitni kadi hoti hai
hijr ki raat bhala kitni kadi hoti hai
جس نے مَر مَر کے گزاری ہو ، یہ اس سے پوچھو
ہجر کی رات بھلا کتنی کڑی ہوتی ہے
hanste honton se bhi jhadte hain fasane gham ke
khushk aankhon mein bhi sawan ki jhadi hoti hai
khushk aankhon mein bhi sawan ki jhadi hoti hai
ہنستے ہونٹوں سے بھی جھڑتے ہیں فسانے غم کے
خشک آنکھوں میں بھی ساون کی جھڑی ہوتی ہے
jab koi shakhs kahin zikr-e-wafa karta hai
dil ko ay dosto taklif badi hoti hai
dil ko ay dosto taklif badi hoti hai
جب کوئی شخص ، کہیں ذکرِ وفا کرتا ہے
دل کو اے دوستو! تکلیف بڑی ہوتی ہے
is tarah baithe hain wo aaj meri mahfil mein
jis tarah shishe mein taswir jadi hoti hai
jis tarah shishe mein taswir jadi hoti hai
اس طرح بیٹھے ہیں وہ آج مری محفل میں
جس طرح شیشے میں تصویر جڑی ہوتی ہے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO