Ek Shabb Aankh Kinaarey
Love/Romantic Poetry
Ek shabb aankh kinaarey
Neend se pehly aao,
Khwab-e-safar per saath chalain gay
ﺍﮎ ﺷﺐ ﺁﻧﮑﮫ ﮐﻨﺎﺭے
Ik doojay ka haath pakar ker
Jhootay sachay ehed karain gay
ﺍﮎ ﺩﻭﺟﮯ ﮐﺎ ﮨﺎﺗﮫ ﭘﮑﮍ کر
Main kuch un dekhay sapnon ki
Ungli thaam kay lay aaon gee
Tum kuch ru-pehli taberain
Zaad-e-safar kay taur per lana
ﻣﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﺍﻥ ﺩﯾﮑﮭﮯ ﺳﭙﻨﻮﮞ ﮐﯽ
Ho sakta hai khwab-e-safar main
Barish bhi ho, aandhi bhi ho
Ho sakta hai toofanon nay
Shart safar say baandhi bhi ho
ﮨﻮ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﺧﻮﺍﺏ ﺳﻔﺮ ﻣﯿﮟ
Ho sakta hai kuch jugnoo, kuch taaray
Apni raah main aain
Ho sakta hai ghor andhairay main hi
Hum donon kho jain
ﮨﻮ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﮐﭽﮫ ﺟﮕﻨﻮﮞ ، ﮐﭽﮫ ﺗﺎﺭﮮ
Thoray sapnay bun aain gay
Aur behti nadi main donon
Gham ki gard bhi dho aain gay
Tery shanay per sir rakh ker
Main apnay sab dukh ro loon gee
Meri barf hatheli rakhna
Tum yadon kay roshan jugnoo
Apni mutthi main bhar lena
Main bhi aanchal kay pehloo main
Ujli yadain rakh laoon gee
ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺁﻧﭽﻞ ﮐﮯ ﭘﮩﻠﻮ ﻣﯿﮟ
Hum donon say haath chura ker
Such ki bheer main kho jaye gee
Chahay such kitna karwa ho
Dukh ko maat to ho jaye gee
Phir tum neend nagar ko jana
Main khwabon main reh jaoon gee
Ik shab aankh kinaray
Neend say pehlay aao
ﭘﮭﺮ ﺗﻢ ﻧﯿﻨﺪ ﻧﮕﺮ ﮐﻮ ﺟﺎﻧﺎ
Khwab-e-safar per saath chalain gay
ﺧﻮﺍﺏ ﺳﻔﺮ ﭘﺮ ﺳﺎﺗﮫ چلیں گے
Chehra Hai Kanwal Jaisa – Love/Romantic Poetry
Wo Kehti Hai Karo Wada – Love/Romantic Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO