Gham Ki Baarish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi
Munir Niazi Poetry
Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
Tu ne mujhe ko kho diya maine tujhe khoya nahi
غم کی بارش نے بھی تیرے نقش کو دھویا نہیں
تو نے مجھ کو کھو دیا میں نے تجھے کھویا نہیں
Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon main tha,
Yun laga jaise woh shab ko dair tak soya nahi
نیند کا ہلکا گلابی سا خمار آنکھوں میں تھا
یوں لگا جیسے وہ شب کو دیر تک سویا نہیں
Har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon ke hujoom,
Keh sake jo dil ki haalat woh lab-e-goyaa nahi
ہر طرف دیوار و در اور ان میں آنکھوں کے ہجوم
کہہ سکے جو دل کی حالت وہ لب گویا نہیں
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza,
Kaat’taa hoon zindagi bhar main ne jo boyaa nahi
جرم آدم نے کیا اور نسل آدم کو سزا
کاٹتا ہوں زندگی بھر میں نے جو بویا نہیں
Jaanta hoon ek aise shakss ko main bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi roya nahi
جانتا ہوں ایک ایسے شخص کو میں بھی منیرؔ
غم سے پتھر ہو گیا لیکن کبھی رویا نہیں
منیر نیازی
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO