Ghazal Bohat Farsooda Lagte Hain
Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke qisse
Gul-o-gulzar ki baaten, lab-o-rukhsar ke qisse
بہت فرسودہ لگتے ہیں مجھے اب یار کے قصے
گل و گلزار کی باتیں، لب و رخسار کے قصے
Yahan sub ke muqaddar main faqat zakham-e-judai hai
Sabhi jhoote fasane hain wisal-e-yaar ke qisse
Sabhi jhoote fasane hain wisal-e-yaar ke qisse
یہاں سب کے مقدر میں فقط زخمِ جدائی ہے
سبھی جھوٹے فسانے ہیں وصالِ یار کے قصے
Bhala ishq-o-mohabbat se kisi ka pait bharta hai
Suno tum ko sunata hoon main karobar ke qisse
Suno tum ko sunata hoon main karobar ke qisse
بھلا عشق و محبت سے کسی کا پیٹ بھرتا ہے
سنو تم کو سناتا ہوں میں کاروبار کے قصے
Mere ahbab kehte hain yahi aik aeb hai mujh main
Sar-e-deewar likhta hoon, pus-e-deewar ke qisse
Sar-e-deewar likhta hoon, pus-e-deewar ke qisse
مرے احباب کہتے ہیں یہی اک عیب ہے مجھ میں
سرِ دیوار لکھتا ہوں پسِ دیوار کے قصے
Main akser is liye logon se ja ker khud nahi milta
Wahi be-kar ki baaten, wahi be-kar ke qisse
Wahi be-kar ki baaten, wahi be-kar ke qisse
میں اکثر اس لئے لوگوں سے جا کر خود نہیں ملتا
وہی بے کار کی باتیں وہی بے کار کے قصے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO