Jo Dil Mein, Ankhon Ke Hawalay Nahi Karna – Ghazal
jo dil mein , ankhon ke hawalay nahi karna
khud ko kabhi khuwaabon ke hawalay nahi karna
جو دل میں ہے، آنکھوں کے حوالے نہیں کرنا
خود کو کبھی خوابوں کے حوالے نہیں کرنا
iss umer mein khush fehmian achi nahi hotein
iss umer ko waaadon ke hawalay nahi karna
اِس عمر میں خوش فہمیاں اچھی نہیں ہوتیں
اِس لمحہ کو وعدوں کے حوالے نہیں کرنا
tum asal say bichra hua ik khuwab ho shayed
uss khuwab ko yaadon ke hawalay nahi karna
تم اصل سے بچھڑا ہوا خواب ہو شاید
اس خواب کو یادوں کے حوالے نہیں کرنا
ab apnay thikanay he pay rehta nahi koi
peghaam parindon ke hawalay nahi karna
peghaam parindon ke hawalay nahi karna
اب اپنے ٹھکانے ہی پہ رہتا نہیں کوئی
پیغام ، پرندوں کے حوالے نہیں کرنا
dunya bhi tu patal say bahar ka safar he
manzil kabhi raston ke hawalay nahi karna
manzil kabhi raston ke hawalay nahi karna
دنیا بھی تو پاتال سے باہر کا سفر ہے
منزل کبھی رستوں کے حوالے نہیں کرنا۔
ab ke jo musaafat hamein dar paish he is mein
kuch bhi tu sarabon ke hawalay nahi karna
kuch bhi tu sarabon ke hawalay nahi karna
اب کے جو مسافت ہمیں درپیش ہے اس میں
کچھ بھی تو سرابوں کے حوالے نہیں کرنا
jiss aag say roshan hua ehsaas ka angan
us aag ko ashkon ke hawalay nahi karna
us aag ko ashkon ke hawalay nahi karna
جس آگ سے روشن ہوا احساس کا آنگن
اس آگ کو اشکوں کے حوالے نہیں کرنا
dekha nahi iss faqr ne kia kar dia tum ko
iss faqr ko shahoon ke hawalay nahi karna
iss faqr ko shahoon ke hawalay nahi karna
دیکھا نہیں! اس فقر نے کیا کردیا تم کو
اس فقر کو شاہوں کے حوالے نہیں کرنا
is maarka-e-ishq mein jo haal ho mera
lekin mujhay logon ke hawalay nahi karna
lekin mujhay logon ke hawalay nahi karna
اِس معرکۂ عشق میں جو حال ہو میرا
لیکن مجھے لوگوں کے حوالے نہیں کرنا
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO