Jo Shakhs Muddaton Mere Shaidaiyon Mein Tha
jo shakhs muddaton mere shaidaiyon mein tha
aafat ke waqt wo bhi tamashaiyon mein tha
us ka ilaj koi masiha na kar saka
jo zakhm meri ruh ki gahraiyon mein tha
wo the bahut qarib to thi garmi-e-hayat
shola hujum-e-shauq ka purwaiyon mein tha
koi bhi saz un ki taDap ko na pa saka
wo soz wo gudaz jo shahnaiyon mein tha
bazm-e-tasawwuraat mein yaadon ki raushni
aalam ajib raat ki tanhaiyon mein tha
us bazm mein chhiDi jo kabhi jaan-dahi ki baat
us dam hamara zikr bhi saudaiyon mein tha
kuchh waz-e-ehtiyat se ‘bano’ the hum bhi dur
kuchh doston ka hath bhi ruswaiyon mein tha
جو شخص مدتوں مرے شیدائیوں میں تھا
آفت کے وقت وہ بھی تماشائیوں میں تھا
اس کا علاج کوئی مسیحا نہ کر سکا
جو زخم میری روح کی گہرائیوں میں تھا
وہ تھے بہت قریب تو تھی گرمئ حیات
شعلہ ہجوم شوق کا پروائیوں میں تھا
کوئی بھی ساز ان کی تڑپ کو نہ پا سکا
وہ سوز وہ گداز جو شہنائیوں میں تھا
بزم تصورات میں یادوں کی روشنی
عالم عجیب رات کی تنہائیوں میں تھا
اس بزم میں چھڑی جو کبھی جاں دہی کی بات
اس دم ہمارا ذکر بھی سودائیوں میں تھا
کچھ وضع احتیاط سے بانوؔ تھے ہم بھی دور
کچھ دوستوں کا ہاتھ بھی رسوائیوں میں تھا
شکیلہ بانو بھوپالی
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO