Kabhi Hayat Ka Gham Hai Kabhi Tera Gham
Ahmad Rahi Poetry
kabhi teri kabhi apni hayat ka gham hai
har ek rang mein nakaamiyon ka matam hai
کبھی حیات کا غم ہے کبھی ترا غم ہے
ہر ایک رنگ میں ناکامیوں کا ماتم ہے
khayal tha tere pahlu mein kuchh sukun hoga
magar yahan bhi wahi iztirab paiham hai
خیال تھا ترے پہلو میں کچھ سکوں ہوگا
مگر یہاں بھی وہی اضطراب پیہم ہے
مرے حبیب مری مسکراہٹوں پہ نہ جا
خدا گواہ مجھے آج بھی ترا غم ہے
sahar se rishta-e-ummid bandhne wale
charagh-e-zist ki lau sham hi se maddham hai
سحر سے رشتۂ امید باندھنے والے
چراغ زیست کی لو شام ہی سے مدھم ہے
ye kis maqam pe le aai zindagi ‘rahi’
ki har qadam pe ajab bebasi ka aalam hai
Phool Pe Aa K Bethi To Khud Par Utarna Bhol Gayi
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai – Poetry
Toota Sitara Dekh Kr Usay Hum Yaad Ayenge – Sad Poetry
Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati – Mir Taqi Mir (Lyrics)
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO