Kabhi Is Nagar Tujhe Dekhna, Kabhi Us Nagar Tujhe Dhoondna
Urdu Poetry by Tabish Kamal
Kabhi Is Nagar Tujhe Dekhna, Kabhi Us Nagar Tujhe Dhoondna
Kabhi Raat Bhar Tujhe Sochna, Kabhi Raat Bhar Tujhe Dhoondna
Mujhe Ja Ba Ja Teri Justoju, Tujhe Dhoondta Hoon Mein Ku Ba Ku
Kahan Khul Saka Tere Rubaru Mera Is Qadar Tujhe Dhoondna
Mera Khawab Tha Ke Khial Tha, Wo Urooj Tha Ke Ziwal Tha
Kabhi Arsh Per Tujhe Dekhna, Kabhi Farsh Per TUjhe Dhoondna
Yahan Her Kisi Se Hi Bair Hai, Tera Shaher Qarria e Ghair Hai
Yahan Sahel Bhi To Nahi Koi Mere Bekhabar Tujhe Dhoondna
Teri Yaad Aai To Ro Dia, Jo Tu Mil Gia Tujhe Kho Dia
Mere Silsaley Bhi Ajeeb Hain Tujhe Chhor Kar Tujhe Dhoondna
Ye Meri Ghazal Ka Kamal Hai Ke Teri Nazar Ka Jamal Hai
Tujhe Sher Sher Sochna, Sar e Bam O Dar Tujhe Dhoondna
Bichar Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai – Mohsin Naqvi
Chashm-E-Saqi Ne Ye Kiya Khel Racha Rakha Hai – Shayari
Chand Ko Sitaron Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Dukh Dard Ke Maron Se Mera Zikar Na Karna – Wasi Shah
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO