Kuch Aise Zakham Bhi Dar E Parda Hum Ne Khaye Hain
Urdu Ghazal Poetry
kuch aise zakham bhi dar-parda hum ne khaye hain
jo hum ne apne rafiqon se bhi chhupaye hain
کچھ ایسے زخم بھی درِ پردہ ہم نے کھائے ہیں
جو ہم نے اپنے رقیبوں سے بھی چھپائے ہیں
ye kya bataen ki hum kya ganwa ke aaye hain
bas ek zamir ba-mushkil bacha ke laye hain
bas ek zamir ba-mushkil bacha ke laye hain
یہ کیا بتائیں کہ ہم کیا گنوا کے آئے ہیں
بس اک ضمیر بہ مشکل بچا کے لائے ہیں
ab aa gaye hain to pyase na jaenge saqi
kuch aaj soch ke hum mai-kade mein aaye hain
kuch aaj soch ke hum mai-kade mein aaye hain
.اب آ گئے ہیں تو پیاسے نہ جائیں گے ساقی
کچھ آج سوچ کے ہم میکدے میں آئے ہیں
koi hawaon se kah do idhar ka rukh na kare
charagh hum ne samajh-bujh kar jalaye hain
کوئی ہواؤں سے کہہ دے ادھر کا رخ نہ کرے
چراغ ہم نے سمجھ بوجھ کر جلائے ہیں
jahan bhi hum ne sada di yahi jawab mila
ye kaun log hain puchho kahan se aaye hain
ye kaun log hain puchho kahan se aaye hain
جہاں بھی ہم نے صدا دی یہی جواب آیا
یہ کون لوگ ہیں پوچھو کہاں سے آئے ہیں
chaman mein dekhiye ab ke hawa kidr ki chale
khizan-nasibon ne phir aashiyan banaye hain
khizan-nasibon ne phir aashiyan banaye hain
چمن میں دیکھیے اب کے ہوا کدھر کی چلے
خزاں نصیبوں نے پھر آشیاں بنائے ہیں
safar pe nikle hain hum pure ehtimam ke sath
hum apne ghar se kafan sath le ke aaye hain
سفر پہ نکلے ہیں ہم پورے اہتمام کے ساتھ
ہم اپنے گھر سے کفن ساتھ لے کے آئے ہیں
unhein parae charaghon se kya gharaz iqbal
jo apne ghar ke diye khud bujha ke aaye hain
jo apne ghar ke diye khud bujha ke aaye hain
انہیں قرار، چراغوں سے کیا غرض اقبال
جو اپنے گھر کے دیئے خود بجھا کے آئے ہیں
Poet: Iqbal Azeem
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO