Kya Ishq Tha Jo Baais-e-Ruswai Bangaya
Qateel Shifai Poetry
kya ishq tha jo bais-e-ruswai ban gaya
yaro tamam shahr tamashai ban gaya
کیا عشق تھا جو باعث رسوائی بن گیا
یارو تمام شہر تماشائی بن گیا
bin mange mil gae meri aankhon ko ratjage
main jab se ek chand ka shaidai ban gaya
main jab se ek chand ka shaidai ban gaya
بن مانگے مل گئے مری آنکھوں کو رت جگے
میں جب سے ایک چاند کا شیدائی بن گیا
dekha jo us ka dast-e-hinai qarib se
ehsas gunjti hui shahnai ban gaya
ehsas gunjti hui shahnai ban gaya
دیکھا جو اس کا دست حنائی قریب سے
احساس گونجتی ہوئی شہنائی بن گیا
barham hua tha meri kisi baat par koi
wo hadisa hi wajh-e-shanasai ban gaya
wo hadisa hi wajh-e-shanasai ban gaya
برہم ہوا تھا میری کسی بات پر کوئی
وہ حادثہ ہی وجہ شناسائی بن گیا
paya na jab kisi mein bhi aawargi ka shauq
sahra simat ke gosha-e-tanhai ban gaya
sahra simat ke gosha-e-tanhai ban gaya
پایا نہ جب کسی میں بھی آوارگی کا شوق
صحرا سمٹ کے گوشۂ تنہائی بن گیا
tha be-qarar wo mere aane se pesh-tar
dekha mujhe to paikar-e-danai ban gaya
dekha mujhe to paikar-e-danai ban gaya
تھا بے قرار وہ مرے آنے سے پیشتر
دیکھا مجھے تو پیکر دانائی بن گیا
karta raha jo roz mujhe us se bad-guman
wo shakhs bhi ab us ka tamannai ban gaya
wo shakhs bhi ab us ka tamannai ban gaya
کرتا رہا جو روز مجھے اس سے بد گماں
وہ شخص بھی اب اس کا تمنائی بن گیا
wo teri bhi to pahli mohabbat na thi qateel
phir kya hua agar koi harjai ban gaya
phir kya hua agar koi harjai ban gaya
وہ تیری بھی تو پہلی محبت نہ تھی قتیلؔ
پھر کیا ہوا اگر کوئی ہرجائی بن گیا
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO