Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeda Namdeda
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda
مدینے کا سفر ہے اور میں نم دیدہ نم دیدہ
Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda
چلا ہوں ایک مجرم کی طرح میں جانبِ طیبہ
Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna
Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida
کسی کے ہاتھ نے مجھ کو سہارا دے دیا ورنہ
Kahan Mein Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Samat Uthte Hey Magar Duzdeda Duzdeda
کہاں میں اور کہاں اس روضہ اقدس کا نظارہ
Ghulaman E Mohammad ﷺ Dour Sey Pehchany Jaty Hein
Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda
غلامانِ محمد ﷺ دور سے پہچانے جاتے ہیں
Madine Jaa Key Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida Sanjida
مدینے جا کے ہم سمجھے تقدس کس کو کہتے ہیں
Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hai
Madina Hum Ney Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda
بصارت کھو گئی لیکن بصیرت تو سلامت ہے
Wohi Iqbal Jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji Par
Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida
وہی اقبال جس کو ناز تھا کل خوش مزاجی پر
Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda
مدینے کا سفر ہے اور میں نمدیدہ نمدیدہ
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO