Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Diya
Poet: Saghar Siddiqui
Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Diya
Saaz Khamosh Hain Naghmaat Ne Dam Tor Diya
محفلیں لٹ گئیں جذبات نے دم توڑ دیا
ساز خاموش ہیں نغمات نے دم توڑ دیا
Har Mussarat Gham-E- Deeroze Ka Unwaan Bani
Waqt Ki God Main Lamhaat Ne Dam Tor Diya
ہر مسرت غم دیروز کا عنوان بنی
وقت کی گود میں لمحات نے دم توڑ دیا
An Ginat Mahfilain Mahroom Charaghan Hai Abhi
Kon Kahta Hai Ke Zulmaat Ne Dam Tor Diya
ان گنت محفلیں محروم چراغاں ہیں ابھی
کون کہتا ہے کہ ظلمات نے دم توڑ دیا
Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Charagh
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Diya
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Diya
آج پھر بجھ گئے جل جل کے امیدوں کے چراغ
آج پھر تاروں بھری رات نے دم توڑ دیا
Jin Se Afsana -E -Hasti Mai Tasalsul Tha Kabhi
In Mohabbat Ki Rawayaat Ne Dam Tor Diya
In Mohabbat Ki Rawayaat Ne Dam Tor Diya
آج پھر بجھ گئے جل جل کے امیدوں کے چراغ
آج پھر تاروں بھری رات نے دم توڑ دیا
Jhilmilatay Huay Ashkon Ki Lari Toot Gayi
Jagmagati Huyi Barsaat Ne Dam Tor Diya
Jagmagati Huyi Barsaat Ne Dam Tor Diya
جھلملاتے ہوئے اشکوں کی لڑی ٹوٹ گئی
جگمگاتی ہوئی برسات نے دم توڑ دیا
Haaay Aadab-E- Mohabbat Ke Takazay Saghir
Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dam Tor Diya
ہائے آداب محبت کے تقاضے ساغرؔ
لب ہلے اور شکایات نے دم توڑ دیا
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO