Maikada Tha Chandni Thi Main Na Tha – Ghazal Lyrics
Maikada tha chandni thi main na tha
Ek mujassam be-khudi thi main na tha
میکدہ تھاچاندنی تھی میں نہ تھا
Ishq jab dam todta tha tum na the
Maut jab sar dhun rahi thi main na tha
عشق جب دم توڑتا تھا تم نہ تھے
Toor par chheda tha jis ne aap ko
Wo meri diwangi thi main na tha
طور پر چھیڑا تھا جس نے آپ کو
Wo hasin baitha tha jab mere qarib
Lazzat-e-hum-sayegi thi main na tha
وہ حسین بیٹھا تھا جب میرے قریب
Mai-kade ke mod par rukti hui
Muddaton ki tishnagi thi main na tha
میکدے کے موڑ پر رُکتی ہُوئ
Thi haqiqat kuchh meri to is qadar
Us hasin ki dil-lagi thi main na tha
تھی حقیقت کچھ میری تو اس قدر
Main aur us ghuncha-dahan ki aarzoo
Aarzoo ki sadgi thi main na tha
میں اور اُس غنچہ دہن کی آرزو
Gesuon ke saye mein aaram-kash
Sar-barahna zindagi thi main na tha
گیسوؤں کے سائے میں آرام کش
Dair o kaba mein Adam hairat-farosh
Do-jahan ki bad-zani thi main na tha.
دیر و کعبہ میں عدم حیرت فروش
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO