Malbus Jab Hawa Ne Badan Se Chura Liye
malbus jab hawa ne badan se chura liye
doshizgan-e-subh ne chehre chhupa liye
ملبوس جب ہوا نے بدن سے چرا لیۓ
دوشِیزگانِ صبح نے چہرے چھپا لیۓ
hum ne to apne jism pe zakhmon ke aaine
har hadse ki yaad samajh ke saja liye
har hadse ki yaad samajh ke saja liye
ہم نے تو اپنے جسم پہ زخموں کے آئنے
ہر حادثے کی یاد سمجھ کر سجا لیۓ
mizan-e-adl tera jhukao hai jis taraf
us samt se dilon ne bade zakhm kha liye
میزانِ عدل تیرا جھکاؤ ہے جس طرف
اس سمت سے دلوں نے بڑے زخم کھا لیۓ
diwar kya giri mere khasta makan ki
logon ne mere sehan mein raste bana liye
logon ne mere sehan mein raste bana liye
دیوار کیا گری مرے خستہ مکان کی
لوگوں نے میرے صحن میں رستے بنا لیۓ
logon ki chadaron pe banati rahi wo phul
paiwand us ne apni qaba mein saja liye
paiwand us ne apni qaba mein saja liye
لوگوں کی چادروں پہ بناتی رہی وہ پھول
پیوَند اس نے اپنی قبا میں سجا لیۓ
har marhale ke dosh pe tarkash ko dekh kar
maon ne apni god mein bachche chhupa liye
maon ne apni god mein bachche chhupa liye
ہر حُرملہ کے دوش پہ ترکش کو دیکھ کر
ماؤں نے اپنی گود میں بچّے چھپا لیۓ
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO