Mile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye
Mile bina hi bichharne ke Dar se laut aaye
Ajeeb khauf mein hum us ke dar se latu aaye
Na aise roiye naakaamii -e- muhabbat per
Khushi manaaiye zinda bhanwar se laut aaye
Yeh sochte hue baithe hain raah mein ruk kar
Udhar to gaye hi nahi the jidhar se laut aaye
Lab uske, saamne the aur hum ne chooma nahi
Samajh lo paon uThay aur dar se laut aaye
Abhi to waqt hai suraj ke doobne mein to phir
Ye kya hua K parinday safar se laut aaye
Kisi bhi tarah ye duniya na chhoR paye hum
K jab bhi nikle teri rahguzar se laut aaye
Phir us ne dekha koi tara toot_te ek raat
Phir ek roz musafir safar se laut aaye
Mere guzarne ki afwaah hi uRaade koi
Kise khabar K woh jhooti khabar se laut aaye
ملے بنا ہی بچھڑنے کے ڈر سے لوٹ آئے
عجیب خوف میں ہم اس کے در سے لوٹ آئے
نہ ایسے روئیے ناکامی_محبت پر
خوشی منائیے زندہ بھنور سے لوٹ آئے
یہ سوچتے ہوئے بیٹھے ہیں راہ میں رک کر
اُدھر تو گئے ہی نہیں تھے جدھر سے لوٹ آئے
لب اس کے سامنے تھے اور ہم نے چوما نہیں
سمجھ لو پاؤں اٹھے اور در سے لوٹ آئے
ابھی تو وقت ہے سورج کے ڈوبنے میں تو پھر
یہ کیا ہوا کہ پرندے سفر سے لوٹ آئے
کسی بھی طرح یہ دنیا نہ چھوڑ پائے ہم
کہ جب بھی نکلے تری رہ_گزر سے لوٹ آئے
پھر اس نے دیکھا کوئی تارا ٹوٹتے اک رات
پھر ایک روز مسافر سفر سے لوٹ آئے
مرے گزرنے کی افواہ ہی اڑا دے کوئی
کسے خبر کہ وہ جھوٹی خبر سے لوٹ آئے
Dekh to Dil Ke Jaan Se Uthta Hai – Mir Taqi Mir Poetry
Chashm-E-Saqi Ne Ye Kiya Khel Racha Rakha Hai – Shayari
Qazaaq Aankhen, Gulaab Chehra, Badan Pe Salwat Nishan Ko Tarse
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO