Mohabbat Bhi Ajab Shay Hai Bari Takleef Deti Hai
Mohabbat Bhi Ajab Shay Hai Bari Takleef Deti Hai
Isi Mein Lutf Hain Saare, Yahi Takleef Deti Hai
محبت بھی عجب شے ہے بڑی تکلیف دیتی ہے
اسی میں لطف ہیں سارے یہی تکلیف دیتی ہے
Yahi Dastoor Hai Shaayad Wafaadari Kii Duniya Ka
Jise Jee Jaan Se Chaaho Wahi Takleef Deti Hai
Jise Jee Jaan Se Chaaho Wahi Takleef Deti Hai
یہی دستور ہے شاید وفاداری کی دنیا کا
جسے جی جان سے چاہو وہی تکلیف دیتی ہے
Shikaayat Kar Rahaa Tha Aasmaan Se Aik Sehra Kal
Mujhe Khawaabon Mein Aksar Ik Naddi Takleef Deti Hai
Mujhe Khawaabon Mein Aksar Ik Naddi Takleef Deti Hai
شکایت کر رہا تھا آسماں سے ایک صحراء کل
مجھے خوابوں میں اکثر اک ندی تکلیف دیتی ہے
Palak Bhar Ka Milan Hota Hai Do Anjaan Chehron Mein
Magar Phir Umr Bhar Ye Ik Ghari Takleef Deti Hai
Magar Phir Umr Bhar Ye Ik Ghari Takleef Deti Hai
پلک بھر کا ملن ہوتا ہے دو انجان چہروں میں
مگر پھر عمر بھر یہ اک گھڑی تکلیف دیتی ہے
Kazaa Ka Khauf Lekar Jee Rahe Hain Sab Zamaane Mein
Haqiiqat Mein Sabhi Ko Zindagi Takleef Deti Hai
Haqiiqat Mein Sabhi Ko Zindagi Takleef Deti Hai
قضا کا خوف لے کر جی رہے ہیں سب زمانے میں
حقیقت میں سبھی کو زندگی تکلیف دیتی ہے
Kabhi mauka-b-mauka ho to koii sabr bhi kar le
Magar aathon pehar ki bekhudi takleef deti hai
Magar aathon pehar ki bekhudi takleef deti hai
کبھی موقع بہ موقع ہو تو کوئی صبر بھی کر لے
مگر آٹھوں پہر کی بے خودی تکلیف دیتی ہے
Savaa neze pe jab aa jaayega sooraj to kya hoga
Humein to garmiyon kii loo bari takleef deti hai
سوا نیزے پہ جب آجاۓ گا سورج تو کیا ہوگا
ہمیں تو گرمیوں کی لُو بڑی تکلیف دیتی ہے
Zaraa kache makaanon ki taraf bhi tum nazar dalo
JahaaN baarish kii har teekhee jhaRi takleef deti hai
زرا کچے مکانوں کی طرف بھی تم نظر کر لو
جہاں بارش کی ہرتیکھی جھڑی تکلیف دیتی ہے
Adaavat ke jinho, ne har taraf parcham uraye the
Unhein ab doston ki berukhi takleef deti hai
عداوت کے جنہوں نے ہر طرف پرچم اٹھاۓ تھے
انہیں اب دوستوں کی بے رخی تکلیف دیتی ہے
Namu hote hi jiske baaghbaan hasrat se taktaa hai
Kai kaanton ko wo tazaa kali takleef deti hai
نمو ہوتے ہی جس کی باغباں حسرت سے تکتا ہے
کئی کانٹوں کو وہ تازہ کلی تکلیف دیتی ہے
Bhulaane ki tago-dou mein jalaa daale hain khat mere
Magar usko usii kii diary takleef deti hai
Magar usko usii kii diary takleef deti hai
بھلانے کی تگ ودو میں جلا ڈالے ہیں خط میرے
مگر اس کو اسی کی ڈائری تکلیف دیتی ہے
Nazar aaye jahaan se roshni masloob aankhon ki
Bayaaze-dil ko aisii shayri takleef deti hai
نظر آئے جہاں سے روشنی مسلوب آنکھوں کی
بیاضِ دل کو ایسی شاعری تکلیف دیتی ہے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO