Muddat Hui Hai Yar Ko Mehman Kiye Huye
Mirza Ghalib Shayari
Muddat hui hai yar ko mehman kiye huye
Josh-e-qadah se bazm charaghan kiye huye
Karta hun jama phir jigar-e-lakht-lakht ko
Arsa hua hai dawat-e-mizhgan kiye huye
Phir waz-e-ahtiyat se rukne laga hai dam
Barson hue hain chaak gareban kiye huye
Phir garm-nala-haye shararbar hai nafas
Muddat hui hai sair-e-charaghan kiye huye
Phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishq
Saman-e-sad-hazar namak-dan kiye huye
Phir bhar raha hun khama-e-mizhgan ba-khun-e-dil
Saz-e-chaman taraazi-e-daman kiye huye
Baham-digar hue hain dil o dida phir raqib
Nazzara o khayal ka saman kiye huye
Dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jaye hai
Pindar ka sanam-kada viran kiye huye
Phir shauq kar raha hai kharidar ki talab
Arz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jaan kiye huye
Daurde hai phir har ek gul-o-lala par khayal
Sad-gulistan nigah ka saman kiye huye
Phir chahta hun nama-e-dildar kholna
Jaan nazr-e-dil-farebi-e-unwan kiye huye
Mange hai phir kisi ko lab-e-baam par hawas
Zulf-e-siyah rukh pe pareshan kiye huye
Chahe hai phir kisi ko muqabil mein aarzoo
Surme se tez dashna-e-mizhgan kiye huye
Ek nau-bahaar-e-naz ko take hai phir nigah
Chehra farogh-e-mai se gulistan kiye huye
Phir ji mein hai ki dar pe kisi ke pade rahen
Sar zer-bar-e-minnat-e-darban kiye huye
Ji dhundta hai phir wahi fursat ki raat din
Baithe rahen tasawwur-e-jaanan kiye huye
Ghalib hamein na cheird ki phir josh-e-ashk se
Baithe hain hum tahayya-e-tufan kiye huye
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO