Na Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi
Jaun Elia Poetry
na hum rahe na wo khwabon ki zindagi hi rahi
guman guman si mahak khud ko dhundhti hi rahi
نہ ہم رہے نہ وہ خوابوں کی زندگی ہی رہی
ajab tarah rukh-e-aindagi ka rang uda
dayar-e-zat mein az-khud guzashtagi hi rahi
عجب طرح رخ آئندگی کا رنگ اڑا
harim-e-shauq ka aalam bataen kya tum ko
harim-e-shauq mein bas shauq ki kami hi rahi
حریم شوق کا عالم بتائیں کیا تم کو
pas-e-nigah-e-taghaful thi ek nigah ki thi
jo dil ke chehara-e-hasrat ki tazgi hi rahi
پس نگاہ تغافل تھی اک نگاہ کہ تھی
ajib aaina-e-partaw-e-tamanna tha
thi us mein ek udasi ki jo saji hi rahi
عجیب آئینۂ پرتو تمنا تھا
badal gaya sabhi kuchh us dayar-e-budash mein
gali thi jo teri jaan wo teri gali hi rahi
بدل گیا سبھی کچھ اس دیار بودش میں
tamam dil ke mohalle ujad chuke the magar
bahut dinon to hansi hi rahi khushi hi rahi
تمام دل کے محلے اجڑ چکے تھے مگر
wo dastan tumhein ab bhi yaad hai ki nahin
jo khun thukne walon ki be-hisi hi rahi
وہ داستان تمہیں اب بھی یاد ہے کہ نہیں
sunaun main kise afsana-e-khyal-e-malal
teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi
سناؤں میں کسے افسانۂ خیال ملال
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO