Na Kahein Se Door Hain Manzelain
Na kahin Se door hain manzilein,na koi qareeb ki baat hai
Jise chahay Uss Ko nawaz de, ye dar-e-Habib ki baat hai
نہ کہیں سے دُور ہیں مَنزلیں نہ کوئی قریب کی بات ہے
Jisay chaha dar pe bulaa liya, jisay chaha apna bana liya
Ye baray karam ke hain faisle, ye baray naseeb ki baat hai
جسے چاہا دَر پہ بُلالیا ، جسے چاہا اپنا بنا لیا
Woh machal ke raah main reh gayi, ye machal ke darr se lipat gayi
Woh kisi ameer ki shaan thi, ye kisi ghareeb ki baat hai
وہ مَچل کے راہ میں رہ گئی ، یہ تڑپ کے دَ ر سے لپٹ گئی
Tujhe ayee Munaware-be-Nawaa, dar-e-sheh se chahiye aur kya
Jo naseeb ho kabhi samna, to bade naseeb ki baat hai
تُجھے اے منوّرِ بے نوا درِ شاہ سے چاہئیے اور کیا
Na kahin Se door hain manzilein,na koi qareeb ki baat hai
Jise chahay Uss Ko nawaz de, ye dar-e-Habib ki baat hai
نہ کہیں سے دُور ہیں مَنزلیں نہ کوئی قریب کی بات ہے
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO