Na Takht-o-Taaj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai
Bal-e-Jibril
Na Takht-o-Taaj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai
Jo Baat Mard-e-Qalandar Ki Bargah Mein Hai
نہ تخت و تاج میں نَے لشکر و سپاہ میں ہے
Sanam Kadah Hai Jahan Aur Mard-e-Haq Hai Khalil
Ye Nukta Woh Hai Ke Poshida LA ILAHA Mein Hai
صنَمکدہ ہے جہاں اور مردِ حق ہے خلیل
Woh Jahan Hai Tera Jis Ko Tu Kare Paida
Ye Sang-o-Khisht Nahin, Jo Teri Nigah Mein Hai
وہی جہاں ہے تِرا جس کو تُو کرے پیدا
Mah-o-Sitara Se Agay Maqam Hai Jis Ka
Woh Musht-e-Khak Abhi Awargan-e-Rah Mein Hai
مہ و ستارہ سے آگے مقام ہے جس کا
Khabar Mili Hai Khudayan-e-Behar-o-Bar Se Mujhe
Farang Reh-Guzar-e-Seel-e-Be Panah Mein Hai
خبر مِلی ہے خدایانِ بحر و بَر سے مجھے
Talash Uss Ki Fazaon Mein Kar Naseeb Apna
Jahan-e-Taza Meri Aah-e-Subahgah Mein Hai
تلاش اس کی فضاؤں میں کر نصیب اپنا
Mere Kidu Ko Ghanimat Samajh Ke Bada-e-Naab
Na Madrase Mein Hai, Baqi Na Khanqah Mein Hai
مِرے کدو کو غنیمت سمجھ کہ بادۂ ناب
Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana – Iqbal
Ye Peyam De Gyi Hai Mujhe Bad-e-Subahgahi – Allama Iqbal Poetry
Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein
Zamana Aaya Hai Be-Hijabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga – Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO