Naye Kapre Badal Kar Jaon Kahan – Nasir Kazmi Poetry
naye kapre badal kar jaon kahan aur baal banaon kis ke liye
wo shakhs to shehar hi chor gaya main bahar jaon kis ke liye
نئے کپڑے بدل کر جاؤں کہاں اور بال بناؤں کس کے لئے
وہ شخص تو شہر ہی چھوڑ گیا میں باہر جاؤں کس کے لئے
jis dhoop ki dil mein thandak thi wo dhoop usi k saath gai
in jaldi balti galiyon mein ab khaak urraon kis ke liye
in jaldi balti galiyon mein ab khaak urraon kis ke liye
جس دھوپ کی دل میں ٹھنڈک تھی وہ دھوپ اسی کے ساتھ گئی
ان جلتی بلتی گلیوں میں اب خاک اڑاؤں کس کے لئے
wo shehar mein tha to us k liye auron se bhi milna parta tha
ab aisay waisay logon k main naaz uthaon kis ke liye
وہ شہر میں تھا تو اس کے لیئے اوروں سے بھی ملنا پڑتا تھا
اب ایسے ویسے لوگوں کے میں ناز اٹھاؤں کس کے لئے
ab shehar mein us ka badal hi nahi koi waisa jaan-e-ghazal hi nahi
ewaan-e-ghazal mein lafzon k guldaan sajaon kis ke liye
ewaan-e-ghazal mein lafzon k guldaan sajaon kis ke liye
اب شہر میں اس کا بدل ہی نہیں کوئی ویسا جانِ غزل ہی نہیں
ایوانِ غزل میں لفظوں کے گلدان سجاؤں کس کے لئے
muddat se koi aaya na gaya sunsaan pari hai gher ki fiza
in khaali kamron mein Nasir ab shamma jalaon kis ke liye
in khaali kamron mein Nasir ab shamma jalaon kis ke liye
مدت سے کوئی آیا نہ گیا سنسان پڑی ہے گھر کی فضا
ان خالی کمروں میں ناصر اب شمع جلاؤں کس کے لئے