Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahi Rehta
Bashir Badr Poetry
parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rehta
kisi bhi aaeinay main dair tak chehra nahin rehta
پرکھنا مت ، پرکھنے میں کوئی اپنا نہیں رہتا
کسی بھی آئینے میں ، دیر تک چہرہ نہیں رہتا
badey logon se milne main hammesha faasla rakhna
jahan deriya samander se mila deriya nahin rehta
بڑے لوگوں سے ملنے میں ، ہمیشہ فاصلہ رکھنا
جہاں دریا سمندر سے ملا ، دریا نہیں رہتا
tumhara shehar tou bilkul naye andaaz wala hai
humarey shehar main bhi koi ab hum sa nahin rehta
تمہارا شہر تو بلکل ، نئے انداز والا ہے
ہمارے شہر میں بھی اب ، کوئی ہم سا نہیں رہتا
muhabbat aik khushboo hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhayi main bhi tanha nahin rehta
محبت میں تو خوشبو ہے ، ہمیشہ ساتھ چلتی ہے
کوئی انسان تنہائی میں بھی ، تنہا نہیں رہتا
Read More:
Honton Pe Mohabbat Ke Fasane Nahi Aate – Bashir Badr
Kab Thahrega Dard Ae dil Kab Raat Basar Hogi – Faiz Ahmad Faiz
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega – Ahmad Faraz Poetry
Seena Dehak Raha Ho Tou Kya Chup Rahe Koi – Jaun Elia Poetry