Qadmon Mein Bhi Takan Thi Ghar Bhi Qarib Tha
Parveen Shakir Poetry
Qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha
Par kiya karen ki ab ke safar hi ajeeb tha
Par kiya karen ki ab ke safar hi ajeeb tha
ﻗﺪﻣﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺗﮑﺎﻥ ﺗﮭﯽ ﮔﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﻗﺮﯾﺐ ﺗﮭﺎ
ﭘﺮ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﯾﮟ ﮐﮧ ﺍﺏ ﮐﮯ ﺳﻔﺮ ﮨﯽ ﻋﺠﯿﺐ ﺗﮭﺎ
Nikle agar tou chand dariche mein ruk bhi jaye
Is shahr e be charagh mein kis ka nasib tha
ﻧﮑﻠﮯ ﺍﮔﺮ ﺗﻮ ﭼﺎﻧﺪ ﺩﺭﯾﭽﮯ ﻣﯿﮟ ﺭﮎ ﺑﮭﯽ ﺟﺎﺋﮯ
ﺍﺱ ﺷﮩﺮ ﺑﮯ ﭼﺮﺍﻍ ﻣﯿﮟ ﮐﺲ ﮐﺎ ﻧﺼﯿﺐ ﺗﮭﺎ
Andhi ne un ruton ko bhi be kar kar diya
Jin ka kabhi huma sa parinda nasib tha
ﺁﻧﺪﮬﯽ ﻧﮯ ﺍﻥ ﺭﺗﻮﮞ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﺑﮯ ﮐﺎﺭ ﮐﺮ ﺩﯾﺎ
ﺟﻦ ﮐﺎ ﮐﺒﮭﯽ ﮨﻤﺎ ﺳﺎ ﭘﺮﻧﺪﮦ ﻧﺼﯿﺐ ﺗﮭﺎ
Kuch apne ap se hi use kashmakash na thi
Mujh mein bhi koi shakhs usi ka raqib tha
ﮐﭽﮫ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﭖ ﺳﮯ ﮨﯽ ﺍﺳﮯ ﮐﺸﻤﮑﺶ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﻣﺠﮫ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺷﺨﺺ ﺍﺳﯽ ﮐﺎ ﺭﻗﯿﺐ ﺗﮭﺎ
Pucha kisi ne mol to hairan rah gya
Apni nigah mein koi kitna gharib tha
ﭘﻮﭼﮭﺎ ﮐﺴﯽ ﻧﮯ ﻣﻮﻝ ﺗﻮ ﺣﯿﺮﺍﻥ ﺭﮦ ﮔﯿﺎ
ﺍﭘﻨﯽ ﻧﮕﺎﮦ ﻣﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﮐﺘﻨﺎ ﻏﺮﯾﺐ ﺗﮭﺎ
Maqtal se aane wali hawa ko bhi kab mila
Aisa koi daricha ki jo be salib tha
ﻣﻘﺘﻞ ﺳﮯ ﺁﻧﮯ ﻭﺍﻟﯽ ﮨﻮﺍ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﮐﺐ ﻣﻼ
ﺍﯾﺴﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﺭﯾﭽﮧ ﮐﮧ ﺟﻮ ﺑﮯ ﺻﻠﯿﺐ ﺗﮭﺎ
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO