Silsila Mere Safar Ka Kabhi Toota Hi Nahi
Silsila mere safar ka kabhi toota hi nahi
Main kisi mod pe dam lene ko thahra hi nahi
سلسلہ میرے سفر کا کبھی ٹوٹا ہی نہیں
Khushk honthon ke tasawwur se larazne waalo
Tum ne tapta hua sahra kabhi dekha hi nahi
خشک ہونٹوں کے تصور سے لرزنے والو
Ab to har baat pe hansne ki tarah hansta hun
Aisa lagta hai mera dil kabhi toota hi nahi
اب تو ہر بات پہ ہنسنے کی طرح ہنستا ہوں
Main wo sahra jise pani ki hawas le doobi
Tu wo baadal jo kabhi toot ke barsa hi nahi
میں وہ صحرا جسے پانی کی ہوس لے ڈوبی
Aisi veerani thi dar pe ki sabhi kaanp gaye
Aur kisi ne pas-e-deewar to dekha hi nahi
ایسی ویرانی تھی در پہ کہ سبھی کانپ گئے
Mujh se milti hi nahin hai kabhi milne ki tarah
Zindagi se mera jaise koi rishta hi nahi
مجھ سے ملتی ہی نہیں ہے کبھی ملنے کی طرح
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO