Sukhe Hont Sulagti Ankhein Sarson Jaisa Rang
Urdu Poetry Collection
Sukhe hont sulagti ankhein sarson jaisa rang
Barson bad wo dekh k mujh ko reh jae ga dang
ﺳﻮﮐﮭﮯ ﮨﻮﻧﭧ، ﺳﻠﮕﺘﯽ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ، ﺳﺮﺳﻮﮞ ﺟﯿﺴﺎ ﺭﻧﮓ
ﺑﺮﺳﻮﮞ ﺑﻌﺪ ﻭﮦ ﺩﯾﮑﮫ ﮐﮯ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﺭﮦ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺩﻧﮓ
Maazi ka wo lamha mujh ko aaj bhi khoon rulaye
Ukhri ukhri baten us ki gheron jesa dhang
ﻣﺎﺿﯽ ﮐﺎ ﻭﮦ ﻟﻤﺤﮧ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﺁﺝ ﺑﮭﯽ ﺧﻮﻥ ﺭﻻﺋﮯ
ﺍﮐﮭﮍﯼ ﺍﮐﮭﮍﯼ ﺑﺎﺗﯿﮟ ﺍﺱ ﮐﯽ، ﻏﯿﺮﻭﮞ ﺟﯿﺴﮯ ﮈﮬﻨﮓ
Taara ban kar door ufaq par kale larze dole
Kachi dor se urne wali dekho aik patang
ﺗﺎﺭﮦ ﺑﻦ ﮐﮯ ﺩﻭﺭ ﺍﻓﻖ ﭘﺮ ﮐﺎﻧﭙﮯ، ﻟﺮﺯﮮ، ﮈﻭﻟﮯ
ﮐﭽﯽ ﮈﻭﺭ ﺳﮯ ﺍﮌﻧﮯ ﻭﺍﻟﯽ ﺩﯾﮑﮭﻮ ﺍﯾﮏ ﭘﺘﻨﮓ
Dil ko to pehle hi dard ki deemak chaat gai thi
Rooh ko bhi ab khata jaye tanhai ka zang
ﺩﻝ ﮐﻮ ﺗﻮ ﭘﮩﻠﮯ ﮨﯽ ﺩﺭﺩ ﮐﯽ ﺩﯾﻤﮏ ﭼﺎﭦ ﮔﺌﯽ ﺗﮭﯽ
ﺭﻭﺡ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﺍﺏ ﮐﮭﺎﺗﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﺗﻨﮩﺎﺋﯽ ﮐﺎ ﺯﻧﮓ
Un hi k sadqe ya rab meri mushkil kar aasan
Mere jese aur bhi hen jo dil k hathon tang
ﺍﻧﮩﯽ ﮐﮯ ﺻﺪﻗﮯ ﯾﺎ ﺭﺏ ﻣﯿﺮﯼ ﻣﺸﮑﻞ ﮐﺮ ﺁﺳﺎﻥ
ﻣﯿﺮﮮ ﺟﯿﺴﮯ ﺍﻭﺭ ﺑﮭﯽ ﮨﯿﮟ ﺟﻮ ﺩﻝ ﮐﮯ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﺗﻨﮓ
Sab kuch de kar hans di aur phir kehne lagi taqdeer
Kabhi na poori hogi tere dil ki aik umang
ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺩﮮ ﮐﺮ ﮨﻨﺲ ﺩﯼ ﺍﻭﺭ ﭘﮭﺮ ﮐﮩﻨﮯ ﻟﮕﯽ ﺗﻘﺪﯾﺮ
ﮐﺒﮭﯽ ﻧﮧ ﮨﻮﮔﯽ ﭘﻮﺭﯼ ﺗﯿﺮﮮ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺍﯾﮏ ﺍﻣﻨﮓ
Shabnam koi jo tujh se hare, jeet pe maan na karna
Jeet wo ho gi jab jeeto gi apne aap se jang
ﺷﺒﻨﻢ ﮐﻮﺋﯽ ﺟﻮ ﺗﺠﮫ ﺳﮯ ﮨﺎﺭﮮ، ﺟﯿﺖ ﭘﮧ ﻣﺎﻥ ﻧﮧ ﮐﺮﻧﺎ
ﺟﯿﺖ ﻭﮦ ﮨﻮﮔﯽ ﺟﺐ ﺟﯿﺘﻮ ﮔﯽ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﭖ ﺳﮯ ﺟﻨﮓ