Tere Badan Se Jo Choo Kar Idhar Bhi Aata Hai
Mohsin Naqvi Ghazal
Tere Badan Se Jo Choo Kar Idhar Bhi Aata Hai
Misal-e-Rang Wo Jhonka Nazar Bhi Aata Hai
ترے بدن سے جو چھو کر ادھر بھی آتا ہے
مثال رنگ وہ جھونکا نظر بھی آتا ہے
Tamam Shab Jahan Jalta Hai Ik Udaas Diya
Hawa Ki Rah Mein Ik Aaisa Ghar Bhi Aata Hai
تمام شب جہاں جلتا ہے اک اداس دیا
ہوا کی راہ میں اک ایسا گھر بھی آتا ہے
Wo Mujh Ko Toot K Chahay Ga Chord Jaye Ga
Mujhe Khaber Thi Ussay Ye Hunar Bhi Aata Hai
وہ مجھ کو ٹوٹ کے چاہے گا چھوڑ جائے گا
مجھے خبر تھی اسے یہ ہنر بھی آتا ہے
Ujaar Rastay Mein Utarta Hai Aik Jugnoo Bhi
Hawa K Sath Koi Humsafar Bhi Aata Hai
اجاڑ بن میں اترتا ہے ایک جگنو بھی
ہوا کے ساتھ کوئی ہم سفر بھی آتا ہے
Wafa Ki Kon Si Manzil Pe Us Ne Chorda Tha
K Woh Yaad Hamein Bhool Kar Bhi Aata Hai
وفا کی کون سی منزل پہ اس نے چھوڑا تھا
کہ وہ تو یاد ہمیں بھول کر بھی آتا ہے
Jahaan Lahoo K Samandar Ki Had Theharti Hai
Waheen Jazeera-e-Laal-o-Gohar Bhi Aata Hai
جہاں لہو کے سمندر کی حد ٹھہرتی ہے
وہیں جزیرۂ لعل و گہر بھی آتا ہے
Chale Jo Zikr Farishton Ki Parsai Ka
Tou Zair-e-Behas Maqam-e-Bashar Bhi Aata Hai
چلے جو ذکر فرشتوں کی پارسائی کا
تو زیر بحث مقام بشر بھی آتا ہے
Abhi Sinaa Ko Sanbhalay Rahey Adoo Merey
K In Safon Men Kaheen Mera Satar Bhi Aata Hai
ابھی سناں کو سنبھالے رہیں عدو میرے
کہ ان صفوں میں کہیں میرا سر بھی آتا ہے
Kabhi Kabhi Mujhe Milne Bulandiyon Se Koi
Shua-E-Subho Ki Surat Utaar Bhi Ata Hai
کبھی کبھی مجھے ملنے بلندیوں سے کوئی
شعاع صبح کی صورت اتر بھی آتا ہے
Isi Liye Main Kisi Shab Na So Saka Mohsin
Wo Mehtab Kabhi Baam Par Bhi Ata Hai
اسی لیے میں کسی شب نہ سو سکا محسنؔ
وہ ماہتاب کبھی بام پر بھی آتا ہے
Ab Ke Barish Mein Tou Yeh Kar-e-Ziyan hona Hi Tha – Mohsin Naqvi Shayari
Teri Har Baat Mohabbat Mein Gawara Kar Ke – Rahat Indori