Tere Qareeb Aa Ke Bari Uljhanon Main Hoon
Ahmad Faraz Poetry
Tere qareeb aa ke bari uljhanon main hoon
Main dushmanon main hoon ke tere doston main hoon
تیرے قریب آ کے بڑی الجھنوں میں ہوں
میں دشمنوں میں ہوں کہ ترے دوستوں میں ہوں
Mujh se guraiz-pa hai to har rasta badal
Main sang-e-raah hoon to sabhi raston main hoon
مجھ سے گریز پا ہے تو ہر راستہ بدل
میں سنگ راہ ہوں تو سبھی راستوں میں ہوں
Tu aa chuka hai satah par kab se khabar nahi
Be-dard main bhi inhi gehrayion main hoon
تو آ چکا ہے سطح پہ کب سے خبر نہیں
بے درد میں ابھی انہیں گہرائیوں میں ہوں
Ae yaar khush-dayar tujhe kya khabar ke main
Kab se udasiyon ke ghanay junglon main hoon
اے یار خوش دیار تجھے کیا خبر کہ میں
کب سے اداسیوں کے گھنے جنگلوں میں ہوں
Tu lout kar bhi ahl-e-tamanna ko khush nahi
Main luTt kar bhi wafa ke inhin qafilon main hoon
تو لوٹ کر بھی اہل تمنا کو خوش نہیں
یاں لٹ کے بھی وفا کے انہی قافلوں میں ہوں
Badla na mere baad bhi mozuu-e-guftgu
Main ja chuka hoon phir bhi teri mehfilon main hoon
بدلا نہ میرے بعد بھی موضوع گفتگو
میں جا چکا ہوں پھر بھی تری محفلوں میں ہوں
Mujh se bichar ke tu bhi roye ga umar bhar
Yeh soch le ke main bhi teri khawhishon main hoon
مجھ سے بچھڑ کے تو بھی تو روئے گا عمر بھر
یہ سوچ لے کہ میں بھی تری خواہشوں میں ہوں
Tu hanss raha hai mujh pe mera haal dekh kar
Aur phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon
تو ہنس رہا ہے مجھ پہ مرا حال دیکھ کر
اور پھر بھی میں شریک ترے قہقہوں میں ہوں
Khud bhi misaal-e-lala-e-sehraa lahuu lahoo
Aur khud faraz apne tamashiyon main hoon
خود ہی مثال لالۂ صحرا لہو لہو
اور خود فرازؔ اپنے تماشائیوں میں ہوں
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO