Teri Gali Mein Tamasha Kiye Zamana Hua
Teri gali mein tamasha kiye zamana hua
Phir is ke baad na aana hua na jaana hua
Kuchh itna toot ke chaaha tha mere dil ne use
Wo shakhs meri murawwat mein bewafa na hua
کچھ اتنا ٹوٹ کے چاہا تھا میرے دل نے اسے
Hawa khafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
Humin ko shama jalane ka hausla na hua
ہوا خفا تھی مگر اتنی سنگ دل بھی نہ تھی
Mere khuloos ki saiqal-gari bhi haar gayi
Wo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua
مرے خلوص کی صیقل گری بھی ہار گئی
Main zahar peeta raha zindagi ke haathon se
Ye aur baat hai mera badan hara na hua
میں زہر پیتا رہا زندگی کے ہاتھوں سے
Shaoor chahiye tarteeb-e-khaar-o-khas ke liye
Qafas ko tod ke rakkha to aashiyana hua
شعور چاہئے ترتیب خار و خس کے لیے
Humare gaanw ki mitti hi ret jaisi thi
Ye ek raat ka sailaab to bahana hua
ہمارے گاؤں کی مٹی ہی ریت جیسی تھی
Kisi ke saath gayin dil ki dhadkanein Qaisar
Phir is ke baad mohabbat ka haadsa na hua
کسی کے ساتھ گئیں دل کی دھڑکنیں قیصرؔ
Poet: Qaisar-ul-jafri
Usse Keh Do Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta – Ghazal
Intezamat Naye Sire Se Sambhale Jayen – Rahat Indori
Mein Ne Aghaz Se Anjam-E-Safar Jana Hai – Ahmad Faraz
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO