Teri Har Baat Mohabbat Mein Gawara Kar Ke
Rahat Indori Poetry
Teri har baat mohabbat main gawara kar ke
Dil ke bazar main bethe hain khasara kar ke
تیری ہر بات محبت میں گوارا کر کے
دل کے بازار میں بیٹھے ہیں خسارہ کر کے
Aate jaate hain kayi rang mere chehre par
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke
آتے جاتے ہیں کئی رنگ مرے چہرے پر
لوگ لیتے ہیں مزا ذکر تمہارا کر کے
Ek chingari nazar ayi thi basti main usse
Woh alag hatt geya andhi ko ishara kar ke
ایک چنگاری نظر آئی تھی بستی میں اسے
وہ الگ ہٹ گیا آندھی کو اشارہ کر کے
Asmaanon ki taraf phenk diya hai main ne
Chand matti ke charaghon ko sitara kar ke
آسمانوں کی طرف پھینک دیا ہے میں نے
چند مٹی کے چراغوں کو ستارہ کر کے
Main woh daryaa hoon ke har boond bhanwar hai jis ki
Tum ne acha hi kiya mujh se kinara kar ke
میں وہ دریا ہوں کہ ہر بوند بھنور ہے جس کی
تم نے اچھا ہی کیا مجھ سے کنارہ کر کے
Muntazir hoon ke sitaron ki zara ankh lage
Chaand ko chhat pe bula loon ga ishara kar ke
منتظر ہوں کہ ستاروں کی ذرا آنکھ لگے
چاند کو چھت پر بلا لوں گا اشارہ کر کے
Hath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate – Rahat Indori Poetry
Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Chingari Rakho – Rahat Indori Ghazal