Ujray huey hain Harappa ke Aasaar Ki Tarah
Ujray huey hain Harappa ke Aasaar Ki Tarah
Zinda hain log waqt ki Raftaar Ki Tarah
Kia Rehna aesy Sheher main Majburion ke sath
Biktay hain log shaam ke Akhbar Ki Tarah
Bachon ka Rizq Moat ke Juwey main Rakh Dia
Circus main koodtay huey Fankar ki Tarah
Qatil Brajmaan Hai Munsif k Saiey Main
Maqtool Phir raha hai Azadaar ki Tarah
Waday zaruraton ki Nazar kar diye Gaey
Rishtay hain saray rait ki Diwaar ki Tarah
Mohsin Merey wajood ko sangsaar kartey waqt
Shamil tha sara sheher ik Tehwaar ki trah!
اجڑے ہوئے ہڑپہ کے آثار کی طرح
زندہ ہیں لوگ وقت کی رفتار کی طرح
کیا رہنا ایسے شہر میں مجبوریوں کے ساتھ
بکتے ہیں لوگ شام کے اخبار کی طرح
بچوں کا رزق موت کے جووئے میں رکھ دیا
سرکس میں کودتے ہوئے فنکار کی طرح
قاتل براجمان ہیں منصف کے سائے میں
مقتول پھر رہے ہیں ازادار کی طرح
وعدے ضرورتوں کی نظر کردیئے گئے
رشتے ہیں سارے ریت کی دیوار کی طرح
محسن میرے وجود کو سنگسار کرتے وقت
شامل تھا سارا شہر اک تہوار کی طرح
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO