Umar Ki Saari Thakan Laad Ke Ghar Jata Hoon
Umar Ki Saari Thakan Laad Ke Ghar Jata Hoon
Raat Bister Pe Main Sota Nahi Mar Jata Hoon
عمر کی ساری تھکن لاد کے گهر جاتا ہوں
Aksar Auqaat Bhray Shehar Ke Sannaty Mein
Is Qadar Zor Se Hansta Hon Ke Dar Jata Hoon
اکثر اوقات بھرے شہر کے سناٹے میں
Mere Aaney Ki Khabar Sirf Diya Rakhta Hai
Main Hawaon Ki Tarha Aa Ke Guzar Jata Hoon
میرے آنے کی خبر صرف دیا رکھتا ہے
Dil Thehar Jata Hai Bhooli Howi Manzil Mein Kahin
Main Kisi Doosrey Raastey Se Guzar Jata Hoon
دل ٹھہر جاتا ہے بهولی ہوئی منزل میں کہیں
Simta Rehta Hoon Bohat Halqa-E-Ahbab Mein Main
Chaar Diwari Mein Aatey Hi Bhikar Jata Hoon
سمٹا رہتا ہوں بہت حلقہء احباب میں، میں
Main Ne Khud Apney Mukhalif Hi Gawahi Di Hai
Woh Tere Haq Mein Nahi Hai To Mukar Jata Hoon
میں نے جو اپنے خلاف آپ گواہی دی ہے
انجم سلیمی
Bandh Lein Hath Pe Senay Pe Saja Lein Tumko – Wasi Shah
Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna – Poetry
Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do – Love Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO