Wo Chandni Ka Badan Khushbuon Ka Saya
Bahsir Badr Poetry
wo chandni ka badan khushbuon ka saya hai
bahut aziz hamein hai magar paraya hai
وہ چاندنی کا بدن خوشبوؤں کا سایہ ہے
بہت عزیز ہمیں ہے مگر پرایا ہے
utar bhi aao kabhi aasman ke zine se
tumhein khuda ne hamare liye banaya hai
tumhein khuda ne hamare liye banaya hai
اتر بھی آؤ کبھی آسماں کے زینے سے
تمہیں خدا نے ہمارے لئے بنایا ہے
kahan se aai ye khushbu ye ghar ki khushbu hai
is ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai
is ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai
کہاں سے آئی یہ خوشبو؟ یہ گھر کی خوشبو ہے
اس اجنبی کے اندھیرے میں کوئی آیا ہے
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
مہک رہی ہے زمیں چاندنی کے پھولوں سے
خدا کسی کی محبت پہ مسکرایا ہے
use kisi ki mohabbat ka aetibar nahi
use zamane ne shayad bahut sataya hai
use zamane ne shayad bahut sataya hai
اُسے کسی کی محبت کا اعتبار نہیں
اُسے زمانے نے شاید بہت ستایا ہے
tamam umar mera dil usi dhuen mein ghuta
wo ek charagh tha main ne use bujhaya hai
wo ek charagh tha main ne use bujhaya hai
تمام عمر میرا دل اسی دھوئیں میں گھٹا
وہ اک چراغ تھا میں نے اُسے بجھایا ہے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO