Wo Dil Nawaz Hai Nazar Shanas Nahi
Urdu Poetry by Nasir Kazmi
wo dil-nawaz hai lekin nazar-shanas nahi
mera ilaj mere chaara-gar ke pas nahi
وہ دل نواز ہے لیکن نظر شناس نہیں
مرا علاج مرے چارہ گر کے پاس نہیں
tadap rahe hain zaban par kai sawal magar
mere liye koi shayan-e-iltimas nahi
mere liye koi shayan-e-iltimas nahi
تڑپ رہے ہیں زباں پر کئی سوال مگر
مرے لیے کوئی شایان التماس نہیں
tere jilau mein bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko aasudgi bhi ras nahi
mere mizaj ko aasudgi bhi ras nahi
ترے جلو میں بھی دل کانپ کانپ اٹھتا ہے
مرے مزاج کو آسودگی بھی راس نہیں
kabhi kabhi jo tere qurb mein guzare the
ab un dinon ka tasawwur bhi mere paas nahi
ab un dinon ka tasawwur bhi mere paas nahi
کبھی کبھی جو ترے قرب میں گزارے تھے
اب ان دنوں کا تصور بھی میرے پاس نہیں
guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahi
sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahi
گزر رہے ہیں عجب مرحلوں سے دیدہ و دل
سحر کی آس تو ہے زندگی کی آس نہیں
mujhe ye dar hai teri aarzu na mit jaye
bahut dinon se tabiat meri udas nahi
bahut dinon se tabiat meri udas nahi
مجھے یہ ڈر ہے تری آرزو نہ مٹ جائے
بہت دنوں سے طبیعت مری اداس نہیں
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO