Wo Log Mere Bahut Pyar Karne Wale The
wo log mere bahut pyar karne wale the
guzar gaye hain jo mausam guzarne wale the
وہ لوگ میرے بہت پیار کرنے والے تھے
nai ruton mein dukhon ke bhi silsile hain naye
wo zakhm taza hue hain jo bharne wale the
نئی رُتوں میں دکھوں کے بھی سلسلے ہیں نئے
ye kis maqam pe sujhi tujhe bichhadne ki
ki ab to ja ke kahin din sanwarne wale the
یہ کس مقام پہ سوجھی تجھے بچھڑنے کی
hazar mujh se wo paiman-e-wasl karta raha
par us ke taur-tariqe mukarne wale the
ہزار مجھ سے وہ پیمانِ وصل کرتا رہا
tumhein to fakhr tha shiraaza-bandi-e-jaan par
hamara kya hai ki hum to bikharne wale the
تمھیں تو فخر تھا شیرازہ بندیء جاں پر
tamam raat nahaya tha shahr barish mein
wo rang utar hi gae jo utarne wale the
تمام رات نہایا تھا شہر بارش میں
us ek chote se qasbe pe rail thahri nahi
wahan bhi chand musafir utarne wale the
اُس ایک چھوٹے سے قصبے پہ ریل ٹھیری نہیں
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO