Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai – Poetry
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai
Ke Be Rukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
وہ اپنے عشق میں کیسا کمال رکھتا ہے
کہ بے رخی میں بھی میرا خیال رکھتا ہے
Jo Aaj Mera Nahi Hai Woh Kal Mera Hoga
Kay Har Zamana Urooj-O-Zawal Rakhta Hai
جو آج میرا نہیں ہے وہ کل مرا ہوگا
کہ ہر زمانہ عروج و زوال رکھتا ہے
Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai
عجب نہیں وہ جہاں بھر کو بے وفا سمجھے
نظر میں میری وفا کی مثال رکھتا ہے
Kahan Talak Koi Dast-E-Karam Ko Zehmat De
Tamaam Sehar Hi Dast-E-Sawaal Rakhta Hai
کہاں تلک کوئی دست کرم کو زحمت دے
تمام شہر ہی دست سوال رکھتا ہے
Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas
Yeh Aasman, Jo Sitaron Ka Jaal Rakhta Hai
مری اڑان کے آگے ہے کس قدر بے بس
یہ آسماں جو ستاروں کا جال رکھتا ہے
Tera Khayal Hi Kuch Meharban Hai Warna
Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai
ترا خیال ہی کچھ مہربان ہے ورنہ
جہاں میں کون کسی کا خیال رکھتا ہے
رحمان خاور
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO