Ye Chubhan Akelepan Ki, Ye Lagan Udas Shab Se
Mohsin Naqvi Poetry
Ye chubhan akelepan ki, Ye lagan udas shab se
Main hawa se lad raha hoon, Tujhe kya bataun kab se
یہ چبھن اکیلے پن کی،یہ لگن اداس شب سے
میں ہوا سے لڑ رہا ہوں،تجھے کیا بتاوں کب سے
Ye sahar ki sazishen thi, Ke ye inteqam-e-shab tha
Mujhe zindgi ka suraj, Na bacha saka gazab se
Mujhe zindgi ka suraj, Na bacha saka gazab se
یہ سحر کی سازشیں تھیں،کہ یہ انتقام شب تھا
مجھے زندگی کا سورج نہ بچا سکا غضب سے
Tere naam se shifa ho, Koi zakhm wo ata kar
Mere nama bar! mile to, Use kehna ye adab se
Mere nama bar! mile to, Use kehna ye adab se
تیرے نام سے شفا ہو،کوئی زخم وہ عطا کر
میرے نامہ بَر ملے تو،اسے کہنا یہ ادب سے
Wo jawan ruton ki shama’en, Kahan kho gayi hain
Main to bujh ke reh gaya hoon, Tu bichhad gaya hai jab se
Main to bujh ke reh gaya hoon, Tu bichhad gaya hai jab se
وہ جواں رُتوں کی شامیں کہاں کھو گئی محسن
میں تو بجھ کے رہ گیا ہوں وہ بچھڑ گیا ہے جب سے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO