Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Qateel Shifai Poetry
Yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe
Ke sang tujh pe giray aur zakham aye mujhe
یہ معجزہ بھی محبت کبھی دکھائے مجھے
کہ سنگ تجھ پہ گرے اور زخم آئے مجھے
Woh mera dost hai saray jahan ko hai maloom
Daghaa kare woh kisi se to sharam aaye mujhe
وہ میرا دوست ہے سارے جہاں کو ہے معلوم
دغا کرے وہ کسی سے تو شرم آئے مجھے
Woh meherbaan hai to iqraar kyun nahin karta
Woh badgumaan hai to so baar aazmaaye mujhe
وہ مہرباں ہے تو اقرار کیوں نہیں کرتا
وہ بد گماں ہے تو سو بار آزمائے مجھے
Wohi to sab se zeyada hai nukta-cheen mera
Jo muskuraa ke hamesha galay lagaye mujhe
وہی تو سب سے زیادہ ہے نکتہ چیں میرا
جو مسکرا کے ہمیشہ گلے لگائے مجھے
Main apni zaat main neelaam ho raha hoon Qateel
Gham-e-hayaat se keh do khareed laye mujhe
میں اپنی ذات میں نیلام ہو رہا ہوں قتیلؔ
غم حیات سے کہہ دو خرید لائے مجھے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO