Zindagi Di Hai Tou Jeene Ka Hunar Bhi Dena
zindagi di hai tou jeene ka hunar bhi dena
panw bakhshen hain to taufiq-e-safar bhi dena
زندگی دی ہے تو جینے کا ہنر بھی دینا
پاؤں بخشیں ہے تو توفیق سفربھی دینا
guftugu tu ne sikhai hai ki main gunga tha
ab main bolunga to baaton mein asar bhi dena
ab main bolunga to baaton mein asar bhi dena
گفتگو تونے سکھائ تھی کہ میں گونگا تھا
اب میں بولوں گا تو باتوںمیں اثربھی دینا
main to is khana-badoshi mein bhi khush hun lekin
agli naslen to na bhatken unhen ghar bhi dena
agli naslen to na bhatken unhen ghar bhi dena
میں تواس خانہ بدوشی میں بھی خوش ہوں لیکن
اگلی نسلیں تونہ بھٹکیں انہیں گھر بھی دینا
zulm aur sabr ka ye khel mukammal ho jaye
us ko khanjar jo diya hai mujhe sar bhi dena
us ko khanjar jo diya hai mujhe sar bhi dena
ظلم اور صبر کا یہ کھیل مکمل ہو جائے
اسکو خنجر جو دیا ہے مجھے سر بھی دینا
Poet: Meraj Fiazabadi
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO
Urdu/Hindi Poetry Collection – Love, Sad, Romantic, Heart Touching Poetry Collection