Zubaan Ke Sakht Magar Dil Ke Payare Hote Hain
Zubaan Ke Sakht Magar Dil Ke Payare Hote Hain
Zara Zara Se Munaafiq To Sary Hote Hain
Diyaar-e-Ishq Ka Ultaa Nizaam Chalta Hai
Yahaan Ke Saary Munaafy, Khasaary Hote Hain
Tum Apni Raaye Badalne Me Haq Ba-Janib Ho
Har Aadmi Ne Kayi Roop Dhaary Hote Hain
Unhi Ki Jeet Ka Ailaan Waqt Karta Hai
Muhabbaton Me Ba-Zahir Jo Hary Hote Hain
Zara Aasman Ki Bulandi Se Dekhiye To Sahi
Zameen Par Jalte Diye Bhi Sitaary Hote Hain
زبان کے سخت مگر دل کے پیارے ہوتے ہیں
ذرا ذرا سے منافق تو سارے ہوتے ہیں
دیارِ عشق میں الٹا نظام چلتا ہے
یہاں کے سارے منافعے خسارے ہوتے ہیں
تم اپنی رائے بدلنے میں حق بجانب ہو
ہر آدمی نے کئی روپ دھارے ہوتے ہیں
انہی کی جیت کا اعلان وقت کرتا ہے
محبتوں میں بظاہر جو ہارے ہوتے ہیں
ذرا آسمان کی بلندی سے دیکھیے تو سہی
زمیں پے جلتے دیے بھی ستارے ہوتے ہیں
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO